What is SEO ? SEO kya hai.Dosto is post main seo yani Search Engine Optimization ke bare me jankari batane wala hu.On-Page optimization ek SEO ka hi part hai.Apni website ya blog ko search result main top par lana hai.  Search Engine Optimization 2 prakar se hota hai.
SEO kya hai

  1.  On-Page SEO
  2. Off Page SEO.
On page SEO - on page seo kya hai.Is post main on page SEO ke bare main janege. Aapne abtak yahi padha hoga ki On-Page kya hai? Yah blog post SEO ke bare main hai.
 On-Page SEO: Content ya article banate time jo bhi ham apne content ya article me implement karte hai jaise Title, Heading, Permalink, Media, Design aadi ko sahi dhang se ompimize karna hi On-Page Search Engine Optimization kahlata hai. yah janne ke bad ata hai ki ise better SERP yani Search Engine Page Result ke liye kya kare.
aap On-Page SEO ko bina practically samjhe ise apne blog Content par laagu nahi kar sakte, aur agar ap apne post ka On-Page SEO achhe se nahi karte hai to apko good Search Engine Page Result nahi mil sakta.

 SEO Friendly Permalink - Permalink ko sadev chota aur keyword ko sath me lekar banaye. Bekar dikhne wale URL ko ignore kare. Iske sath URL ko jayda bada bhi nahi rakhe .Aisa isliye kyonki Google hamesah post ke permalink me se shuru ke 3-5 word ko jyada value deta hai. Jiska matalab hai ki hame apne URL me targeted keyword ko place karna chahiye.


CTR: Click Through Rate, Google ke fist page par 10 results show hote hai.maanlo Google ke first page par 100 users search karte hai. unme se maanlo 20 users ne apki site ko hi open kiya baki ke 80 users ne baki ki bache 9 blog ya website ko open kiya, tab apki CTR 20% hogi.

Title- title Ke Shuru me Keyword Defiantly aap apne post ke liye targeted keyword ko title me place karte hai, aur yah achha bhi hai kyonki yah Google ka sabse important On-Page SEO factor hai.
Lekin, iske sath me apko is bat par bhi dhyan dena chahiye ki Apne main Keyword ko title ke shuruaat me rakhe.

Ho sakta hai aap kuch post ke title ko direct apne targeted keyword se shuru nahi kar paa rhe hai ya koi meaning hi nahi ban pa rhhi hai to bhi kosis kare ki ap apne targeted keyword ko title ke end me na rakhe.

Multimedia-Kewal text se content banana hi kafi nahi hota hai, kosis honi chahiye ki us content me Videos aur Images bhi ho.
Videos aur Images apke blog par aane wala user kuch wakt aur rukega. Jisse Bounce rate kam hogi aur time on page badhega. 

Bounce Rate - Jab user blog par akar bina blog par visit kiye bina second page par jate hai to blog ko band kar deta hai. 

Time on Page - Visitor apki site par kitna Time tak ruk raha hai.Aap apne content me attractive videos aur Images add karoge to isse apke blog ki Bounce Rate kam hogi yaani user apki site ko close kar de, iske chance kam ho jaege jo ki Google SEO ke liye achha hai aur sath me Time on Page badhega jisse user apki site par jyada time tak rahega to ye bhi Google SEO ke liye achha hai.

Keyword- Apke article ya content me shuru ke 100-150 words me hi targeted keyword hona chahiye. Yani jo first paragraph hota hai apke content ka usi me apke keyword hona chahiye.

Loading Speed Kam Kare-Google yah bhi record karta hai ki apki blog ke loading speed kitni hai. Yani apke blog ko khulne ki speed fast honi chahiye.Ise kam karne ke liye aap apne blog par high definition images ko compress kar sakte hai, aur agar apne blog ko self host par rakha hai to fast speed hosting hi le. Agar aap Google Blogger use karte hai to apko hosting ki power ke bare me dekhne ki koi jarurat nahi hai kyonki Blogger platform me apki site Google ke server par host hoti hai.

Modifiers - Modifiers jaise “Best”, “Top”, “Famous”, “Guide”, “Complete Guide”, “Review”, “Helpful” etc. ko apne title me add karne se ise aur bhi attractive bana sakte hai.
For exm. -
  • Top rajasthani songs.
  • famous hindi songs
  •  helpful blog artical
Aur sath me Google par site show hone se high chance hoge ki users apke blog content ka title dekhe to pahle apke blog ke content ko pahle open kare.
Agar aapko sikhna hai kaise ek badiya Title likh sakte hai jisse aapka SEO Improve ho to aap meri is post ko read kare jisme mene bataye hai Blog Post Title Likhne Ke 6 Badiya takike.
 
Share - Kya chance hote hai apke content ko padhne ke bad readers apke us content ko apni social profile par share kare?
Chances are very high jab aap social share button ka use karte hai tab users apke content ko shares karege.
Agar aap Social Share Button add nahi karte hai, tab apke blog ke ese readers kafi kam hoge jo Address Bar se URL copy karke apne social profile par paste karke share kare.
Yani social share button ka use karna bahut jaruri hai agar ap apne content ko social site par viral karna chahte hai.
Agar aap Google Blogger platfrom use karte hai to ho sakta hai apke Template me hi Social Share Button option ho, agar nahi hai ho to apko alag se social share button add kar sakte hai.
 
Content - Research se pata chala hai, apke content me jitne length hoge chance high hoge apke Google first page par rank hone ke.
Jis content ki high ranking chahte ho aur wo content ka topic bhi kafi high competition me hai tab apko kosis karni chahiye ki post kam se kam 2000 words me to likhi hi jae aur agar isse jyada words me likhte hai to wo aur bhi best hai.
Aur rule bana dena chahiye ki har content ko at least 1000 words se jyada me likhe.
Jitna Long content hoga usme utne hi jyada Long Tail Keyword ko use me le sakege. yaani utna hi achha hai SEO ke liye.
 
Links - Internal link ka matlab hai ki apne new content me purane published post ka link bhi add kare. Lekin us new content me usi content ka internal links add kare jo usse related hai.
Is bare me mera suggestion hoga ki new content par kam se kam 2-5 old content ko link kare. Jisse apki blog ki bounce rate bhi kam hogi kyonki aap user ko ek hi content nahi de rhe hai uske sath me aur bhi content aage kar rhe hai padhne ke liye to visitors apke blog par aur jayda time time tak rukege.
 
Keyword - Aap apne content me H2 and H3 ko subheading dene ke liye to use karte hi hoge? agar nahi to ise use me le kyonki first yah apke content ko more user friendly banati hai aur second usme keyword rakhne se yah On-page SEO optimization ko aur bhi strong karega.
Jo aapka Keyword hai aapko uska ye dhiyan bhi rakhna hai wo ek limit se jada naa hi, nahi to wo bhi keyword staffing khelata hai..
 
 Image Name -Apne content me jo Image add karte hai us image ka name bhi wahi de jo apka target keyword hai.

ALT Tag - Image Optimization ka second step ata hai ALT tag add kare.
 
Blogger - Agar aap Google Blogger platform user karte hai iske post editor me image me ALT Tag add karn ka option hai. ALT Tag me bhi apne target keyword ko hi place kare.
For Example agar apke target keyword hai “On-Page SEO Opmization”, to ALT name add kare kuch is tarah add kare.

WordPress - Agar aap WordPress platform user karte hai iske post editor me bhi image me ALT Tag add karn ka option hai. Jiske liye kewal Image ke border par edit button par clik.
Image optimization karne ka dusra reason yah hai ki Google ko yah pata chalne me aasani hoti hai ki apka content kis bare me hai. Jo apko search traffic aane me madad karega.

Description -Hamari jo Post joti hai wo search engine me ya fir Social Media me share karne par jo dikhta hai wo uska Title,  

Permalink or uska Description or Post ki Thumbnail.
inhi ko dekh kar user unpar click karta hai.
Blogger me Post Discription kaise add kare uski jankari yaha hai or agar aap wordpress use karte hai to SEO Yoast Plugin use kare.